Friday, September 2, 2011

Ye Dil Chaahta Hai....


Kabhi chand bundon mein khud ko bhigone ko fir ye dil chahta hai...

kabhi chai ki chuski ke sath vo lamba fan khane ko fir ye dil chahta hai...

kabhi aaj unki dant sunke sidhaa khade hone ko fir ye dil chahta hai....

kabhi tere samjhaye vo sare concepts aaj fir se samjhne ko ye dil chahta hai...

kabhi tujh lakshman ko pake ye ram bnne ko dil chahta hai....
or kabhi tujh ram ko pake...aaj lakshman bnnne ko dil chahta hai....

kabhi jindagi ki ye andhi baten..aaj teri ankhon se dekhne ko fir ye dil chahta hai...

kabhi tej garmi me sang tumhare,, vo sardi ki feeling krne ko ye dil chahta hai...

kabhi naram ruii sa pathar hua dil,, aaj pighla hua barf bnne ko ye dil chahta hai...

kabhi bita hua pal jo tere sang kata aaj fer se jeene ko ye dil chahta hai....

ChAnd DoRa......

Thursday, May 14, 2009

my life

मैं दो कदम चलता और एक पल को रुकता मगर.....इस एक पल जिन्दगी मुझसे चार कदम आगे बढ जाती ।मैं फिर दो कदम चलता और एक पल को रुकता और....जिन्दगी फिर मुझसे चार कदम आगे बढ जाती ।युँ ही जिन्दगी को जीतता देख मैं मुस्कुराता और....जिन्दगी मेरी मुस्कुराहट पर हैंरान होती ।ये सिलसिला यहीं चलता रहता.....फिर एक दिन मुझे हंसता देख एक सितारे ने पुछा.........." तुम हार कर भी मुस्कुराते हो ! क्या तुम्हें दुख नहीं होता हार का ? "तब मैंनें कहा................मुझे पता हैं एक ऐसी सरहद आयेगी जहाँ से आगेजिन्दगी चार कदम तो क्या एक कदम भी आगे ना बढ पायेगी,तब जिन्दगी मेरा इन्तज़ार करेगी और मैं......तब भी युँ ही चलता रुकता अपनी रफ्तार से अपनी धुन मैं वहाँ पहुँगा.......एक पल रुक कर, जिन्दगी को देख कर मुस्कुराउगा..........बीते सफर को एक नज़र देख अपने कदम फिर बढाँउगा।ठीक उसी पल मैं जिन्दगी से जीत जाउगा.........मैं अपनी हार पर भी मुस्कुराता था और अपनी जीत पर भी......मगर जिन्दगी अपनी जीत पर भी ना मुस्कुरा पाई थी और अपनी हार पर भी ना रो पायेगी"

Sunday, July 6, 2008

poem of last days of university life

Raah dekhi thi is din ki kabse,Aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se.

Bade utavle the yahaan se jaane ko,Zindagi ka agla padaav paane ko.

Par naa jane kyon ..Dil mein aaj kuch aur aata hai,Waqt ko rokne ka jee chahta hai.

Jin baton ko lekar rote the Aaj un par hansi aati hai ,Na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai .

Kaha karte the ..Badi mushkil se ye kuch saal seh gaya,Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya.

Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi,Yaadein jo ab jeene ka sahara ban gayi.

Meri taang ab kaun kheencha karega ,Sirf mera sir khane kaun mera peecha karega.

Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega,Kaun raat bhar saath jag kar padega ,

KAUN MERI gaadi mujse pooche bina lejayega ,Kaun mere naye naye naam banayega.

Mein ab bina matlab kis se ladoonga,Bina topic ke kisse faalto baat karoonga ,

Kaun fail hone par dilasa dilayega,Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega .

sc mein Chai kis ke saath piyoonga ,Wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga,

Aise dost kahaan milenge Jo khai mein bhi dhakka de aayein,Par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein.

Mere gaano se pareshaan kaun hoga ,Kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga ,

Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai ,Kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai .

Movies mein kiske saath dekhhonga,Kis ke saath boring lectures jheloonga ,

Kere farzee certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega ,Bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega.

Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna,Na jaane ye fir kab hoga .

Doston ke liye professor se kab lad payenge ,Kya hum ye fir kar payenge,

Raat ko 2 baje chay pine bus station kaun jayega ,Tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega .

Kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega, Aur jyada hawa meinudne par zameen pe layege,

Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga ,Mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga...

KEH DO DOSTON YE DOBAARA KAB HOGA.